Een weinig van het andere
(1984)– Shrinivási– Auteursrechtelijk beschermd
[pagina 32]
| |
Pravās ka prayāsDivānishi
dil-divāl par prabal ghamghamān
prapiran merā galā dabātā;
dil men ghatātop.
Pyās kaise bujhāun?
Bhukhon martā hun
kahān prabodhā pāun
aur kab ullās ki māyā
mujh men phir bhāshit hogi?
Prakāsh rahit hain nayan
pratikshan men maut basi hai
pari hai mukh par dhakni
paripālit kathandarne kān men.
Pravās kā prayās manastāp hai.Ga naar voetnoot+
Kshitij merā jo barbād kiyā
Tarni-taran kab hogā
jalaj kab phir phulegā
kab chur hogi nirāshā
kab prapt karun paritrān?
Dudhiya ushā kab thumakegā?
Vyākul hun.
Kaun disha jaun?
Kaise man ko bahalāun?
Shankit hun
hatāsh hun
bahut āj vismit hun.
| |
[pagina 34]
| |
Kritanjali kharā hun
prajvalit pahār par.
Priya bhāshan mujhko sunāo
Mujhko bhejo ek shabd.
Ek chhipi hui muskān
ki dil men pratakāl
ahan-bhairāv uthegā
rasanvali spasht hogi
nikshipt hove andherā
dvivid milan se!
|
|