Een weinig van het andere(1984)– Shrinivási– Auteursrechtelijk beschermd Vorige Volgende [pagina 66] [p. 66] Jaypatr Dham dham bajtā baj rahā hai baj rahā hai dhindhorā damru misht bhāshā se bol rahā hai pukār rahā hai nazam najāt nagārā. Krim krim āti dhire dhire ānkhon men barsāti khushi-vrishti sukal-ushā nij dil men samāyi hai. Bālā vilit hui prālay kālkut dil men nit nit phul rahā hai riddhi-siddhi sukhād-nand sahasrānshu sundar. Krātu bal se prāpt hue hain vibhuti vāsu Nij parishram ne antim men hamen vikhyāt banāyā. Main hun tu hai vah hai [pagina 68] [p. 68] tum ho Ham sab hain Shrinām nivāsi Ham sab hain kulin prajā Ham sab sukhyāt shri nivāsi. Dekho khilkhilāti hui khil rahi hai Lāllā Rookh muskān Dil bharpur hai ānkh men vasant hai Sāre desh men gunj uthā hai vijay hai jaypatr! Purvāi men bhed cchipā hai sarvatr hai mahotsav Surinām men sugandhit hai Bhāratiya santān. Main hun grihasth tu hai karshak urvarā hai desh hamārā Vās karti hai usmen kaun? Lālārukh Munnā Kānti Kāmini Pyāri Desh ki yuvati Desh ki prānabhrit Nanki. Bhavishyat ki Mātā vah hai sugharānā-dipak. Desh ki ābhā desh kā ādarsh rāmani ravi-pārā. [pagina 70] [p. 70] Mere desh ki āshā vah hai Sakal armān hamārā. Main rasik hun deshārpit tu sukumāri hamāri Main hun Krishnā tu hai Rādhā upkārak hun main terā Dās banā hun aur tu dāsi Sarnām desh ki sāre. Yug-yug dham dham baj rahā hai Jivan bhar to jugjugāti Tu hai Sarnām Sitārā aur main hun Sarnām Kumār Ankh men dekho dil men dekho dekho tan man dhan men chāron or vijayollās hai āj Sarnām desh tarangit Mālum kyon ki mālum nahin? Mahattam mulākāt hai aj navve varshon ki. Tab ek mat bolo sāre dil se tan man se tab ek mat bolo [pagina 72] [p. 72] Bhāiyo bahano ekdast bolo damru negāre ke sāth Main hun tu hai vah hai tum ho Ham sab hain Shrinām nivāsi Hab sab hain kulin prajā Ham sab sukhyāt shri nivāsi Vorige Volgende